''Shaykh NoorudDin- Lustre,beams, forth from the dust of His Grave, 'A Variety of grace flows out from his holy soul'
Tuesday, October 16, 2012
Gouse Azam Ka Tashreef Laana
GHOUSE AZAM KI MADAD ♥
Aik dafa "Ropwan" Chrare Sharif Mei Hazrat Sheikh Noorud din (rehmatullaheal aih) Ibaadate Khuda Mei Mashgool Thay, Kuch Dair Baad Aap(rehmatullah ealaih) Ko Shor Sunaayei Diyaa To Aap Rehmatullahe Ne Apne Rafiq Yaar Hazrat Baba Nasrud din (rehmatullaheal aih) Ko Mukhaatib Kar Kay Farmaya . "Ay Nasr! BAAHIR nikal Kar Zara Ke Yeh Shor Wa Sharaaba Kiun Aur Kis Taraf Hai " Nasrud din (rehmatullaheal aih) Ne Ju'n He Baahir Nikal Kar Nazar Daali To Dar Ke Maaray Jald He Waapas Palat Kar Darwaaza Bandh Kar Kay Andhar AYa Aur Hazrat Shaykh (rehmatullaheal aih) Se arz Karne Lagga ke "Ay Shaykh (rehmatullaheal aih)! Baahir Mei Ne Dekha ' Surkh Wardi Pehan Kar Aik Fauji Lashkar Haatho Mei Neazay Aur Shamshairay Le kar issi Pahaadi Ki Taraf Dorh Kar Aarahe hain. Yedekh kar mei jaldi waapas aaya"
Hazrat Shaykh (rehmatullahe alaih) Ne Baba Nasrud din (Rehmatullahe alaih) se farmaaya :
" Gabraanay ki koi baat nahi hai, bay fiker raho. Khuda wande kareem ko yaad karo, dekho ; wahi hamaara Muhaafiz hai"
Phir farmaaya :
" Ay Nasrud din (rehmatullahe alaih)! Dar'Asl meri baari aayei hai , mujhay ab is dunyayai faani se rukhsat hona hai. Ay meray Rafiq ! Mei ne aap se kaha tha na , ke ye dunya kissi kaam ki nahi hai, dunyawi kaam chorh kar aakhirat kay kaamo mei lag jao". Ay Nasur ! Maal o jaayedaad , zan wa awlaad , zar wa zameen Saath nahi jaatay hain. Bas'Wahan Sirf Aamaal Saath Jaatay Hain" Ay Nasrud din ! " Dar'asl Shaitaane Maloon Mujhay Is Waqt raahe Haq se Bhadkaanay Aya hai" . Nasr! Mei Dua Maang Lu'n Ga Aap Aameen Kartay Rehan"..
Is Kay Baad Shaykh Noorud din Noraani (rehmatullahe alaih) ne Apne daste Mubarak Upar Uthaayai Dua Maangne Lagay:
"k Ilaahei! Mujhay Fatah o Nusrat Bakhsh De.Ya ALLAH! Ba Waastay Hazrat Paigambar Kareem Mohammad Rasoolullah SALALLAHUALAIHE WA AALIHE WASALLAM Meri Madad kar, Mera Saath dei'n."
♥
Dua Qubool Huwi Ba Waasta Hazrat Sardaar Do AALAM (salallahualaih ewasallam), Issi Waqt Qutbe Aalam Shahe Jilan Hazrat Shaikh Syed Abdul QaadirJeelani (Radiallahu taala anhu) Shamshaire BurhaanDastay Shareef Mei Le Kar , Sabz Wardi Pehan Kar Namoo'daar Huway. Hazrat Shaykh (rehmatullaheal aih) Ne Haalat Jaan Nay K Liye Anadar SE baba Nasrud din(rehmatullah ealaih) Ko Baahir bheja...Baba Nasrud din(rehmatullah ealaih) Jab Waapas andar aagayei , to unhu ne apne Murshid Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) ko bataya k Sabz posh wardi waali Shakhsiyat(sham shair bardaar) ne surkhposh wardi waalay lashkar kay commander ko giriftaar kiya aur us kay lashkar ko Titar Bitar kar rahay hain. Ye dekh kar Baba Nasrud din(rehmatullah ealaih) ko hosh aaya Aur Sukoon qalb payaa...
Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) ne Nasrud din(rehmatullah ealaih) se farmaya: K Ye Shahe Jeelan Hazrat shaykh Abdul Qaadir Jilani(radialla huanhu) thay. Aur baba Nasrud din Ko farmaya : Is Jagah Ko Foran Saaf Karo, Ye Saahib Yahan He aayin ge."
Bayshak Jab Shahe Baghdad Hazrat Gousulazam (radiallahuanhu ) Faarig Huway To Hazrat Shaykh (rehmatullaheal aih) Kay Haa'n Aagayei. Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) ne Khaday Ho Kar Un Ka Istiqbaal Kiya Aur Un Ko Tazeem wa Tasleem Kiya. Shahe Baghdad (radiallahuanhu ) ne Hazrat shaykh (rehmatullaheal aih) Ko Khabar di K Rabbe Qaayenaat Aap Se Raazi Hai, Aur Khatmul Mursaleen Hazrat Mohammad Rasoolullah Salallahualaihe wasallam Aap Ko Aafreen Kartay Hain .
Jenaab Hazrat Meer Syed Mohammad Hamdani(rehmatu llahealh) AAP kay Murshid Hai, Mei Bhi Aap Ko Yaad Rakhta Hun.
Is kay Baad Shahe baghdad (radiallahuanhu ) Rukhsat Ho Kar "Ropwan" Se Chrare Aa'kar Baagh Sangraam Daar Mei HEE Darakhet(tree)[ aik qism ka phool waala darakhet] Kay Qareeb Baith Kar Kuch Waqt Guzaarnay Kay Baad Wahaan Se Chalay Jaatay Hain"..
Is Waaqah Kay Kuch Dair Baad Baba Nasrud din (rehmatullahe alaih) Ne Jab Baahir Dekha To Iblees La'Een Zor Zor se' Aur Ro Ro Kar Apnay Upar KhaakMalne Lagga ...
SUBHAANALLAH SUBHAANALLAH ♥..
(Karaamat e Shaykhlalam rehmatullahe alaih By Abu Nayeem)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment